Sunday 13 August 2017

Namaz e Maghrib Se Pahle 2 Rakat Sunnat



As Salamu Alekum...

💠 Gair Moqeeda Sunnato me Magrib ki 2 rakat sunnat jo farz se pahle padhi jati hai wo bhi shumar hoti hai.

⛔ Aksar Log Hayrat se dekhte hai Jab Makka, Madeena, Ahle Hadees Ki masjeedo m jab log ye sunnat padhte hai❗Kun K Afsoos In Logo K Ulma ne Ye hadees bataye Nahe Hai In logo ko Isliye Ye Log hayrat se dekhte hai is sunnat par Amal karne walo ko, jaise ye koi bidd'at ho,
To Dekhte hai is sunnat par Amal karne walo k dalayal Kya hai..

🔲 Abdullah al Maznee r.a. riwayat karte hain Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Maghrib ki (farz) namaz se pahle namaz padho, Aap ne 3 baar farmaya aur teesri baar kaha jiska dil chaahe, ye is liey farmaya ke Aap naapasand karte the ke log isko sunnat e mokkeda banaalei’n.’
📚Sahih Al Bukhari, Abwab al Tahajjud, Hadith- 1183.

🔲 Sayyadna Anas r.a. se riwayat hai ke Madeena mein muezzin Maghrib ki azan kahta, ham sab sunnato’n ki taraf daudte aur 2 rakatei’n padhte. Log is kasrat se 2 rakatei’n padhte ke ajnabi ye guman karta ke Maghrib ki jamat ho chuki hai.
📚 Sahih Muslim, Salatul Musafireen, Hadith- 837.

🔲 Marsad bin Abdullah r.h. Oqba r.a. ke paas aae aur kaha: ‘Kya ye ajeeb baat nahi ke Abu Tameem r.a. Maghrib ki namaz se pehle 2 rakat padhte hain? Oqba r.a. ne kaha ke ham bhi Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke zamane mein padhte the. Inho’n ne poocha: Ab kyo’n nahi padhte? Kahne lage ke masrufiyat.’
📚 Sahih al Bukhari, kitab al Tahajjud, Hadith- 1184.

🌳 Allah Subhanahu wa tala se duwa hai k ham sab ko haq baat Sahe Hadees except karne ki tofeeq de Aameen...
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

No comments:

Post a Comment