Friday 4 August 2017

ISLAMICK SMS DELETE HO JATE HE TO KIYA KARE


✂CONFUSION hi CONFUSION✂

::: Aur Uska :::

BEST JAWAB

Quraan ki Aayat Msg me bhejni Jayez hai ya nahi..??

Aayat Wale SMS, Photos yaa Odio Video Clip Delete kare ya na kare.?

Iss CONFUSION aur Iske Pichhe ki ek SHAZISH ka MOOH tod Jawab Jaan ne ke liye iss Msg ko Pura Padhe Plz

aap me se kai log shayad is wahem me honge ki hame tou QURAN ki AAYAT aur HADEESE msg me aati hai

magar msg box full ho jata hai tou use DELETE karni padti hai

ab kya kare QAYAMAT ki nishani hai ki log apne hatho se QURAN mitayenge

JAWAB

AWWAL tou ye JAWAB de du ki QURAN ki AAYAT agar SMS me aajaye tou aap use DELETE kar sakte hai

WAJAH

1. hamare PYARE AAQA (sallallahu alyhi wasallam) ke duar jab WAHI nazil hoti tou waha par maujud SAHABA paththar par ya mitti par ya darakhto ke patto par AAYAT likh liya karte
ab sochiye ki us daur me se hi paththar mitti par AAYAT likhi jati aur baad me wahi se kisi sakht chiz par wapas likh kar us pathathar ya mitti par likhi huwi AAYAT ko mita di jati thi
tou ye AAYAT ka mitna tou us daur se hi chalu tha
aaj se nahi.

2 us daur me aur hamare aaj ke MADARSON me aaj bhi black board par bachcho ko QURAN ki AAYAT aur HADEESE likha kar sikhai jati hai phir naya chapter par aane ke liye us likhe huwe ko mitaya jata hai
tou ye mitane ka silsila bhi isi tarah barso se chalta aaraha hai

Ab asal baat ye ki Jiski Hifazat ALLAH TA'ALA Karay usey Koi Nahi Mita Sakta.

QURA'N e karim me ALLAH irshad farmata hai

"BESHAK Humne Utara Hai Yeh QURAN Aur Bayshak Hum Khud Is Ky NIGEHBAAN”

Surah Al Hijr, Aayat 9, Parah 14 –Tarjuma Kanzul Imaan

Ab socho ki jiski HIFAZAT mera RAB kare kya use koi mita sakta hai

tou phir ye jahil kyun aise SMS phaila rahe hai ki QUR’AN ki Aayate aur HADEES na send kare

Woh isliye ki ye badi SHAZISH hai,
kyunki jab se MEDIA aur SOCIAL NETWORK aur Mobile jaisi chize hamare bich aayi hai
tab se ISLAM ke liye kaam karna hamare liye bada aasan ho gaya hai
tou kuch ISLAM ke dushman ye nahi chahte ki ISLAM ka iske zariye bol bala ho
isliye AAYATE aur HADEESO ke galat matlab nikal kar phaila dete hai
unka kaam aise galat msg ko phelana hai ki QURAN ki AAYATO ke msg na kare woh delete ho jate hai
aur QAYAMAT ki nishani hai ki log apne hatho se use mitayenge
Bas unka kaam is msg ko send karna hai, uske baad log use parh kar is msg ko phelana shuru kar dete hai
aur dekhte hi dekhte sab jagah woh msg pheil jata hai aur log QURAN ki AAYATO ko send karna band kar dete hai
aur is se un SAZISH KARO ki SHAZISH kamyab ho jati hai

Ab aate hai asl QAYAMAT ki nishani par kya kehti hai

QAYAMAT Ki Nishani me LAFZ Mitna Nahi,
Balky ILM Ka Uth jana likha hai
yani ki ILM utha liya jayega. Ye nahi likha ki log apne haatho se mita denge

Tou pata chala ki aap QURAN ki AAYAT ya HADEES msg me ho tou use delete bhi kar sakte hai

Aur iske dar se ki DELETE karna padega isliye use SEND na kare tou ye bhi dar ab nikal gaya

Yani ab aap jo bhi achche QURANI AAYAT ya HADEES mile tou use zarur aage FORWARD kare,

Agar msg box full ho jaye tou DELETE karna pade tou DELETE bhi kare

JO LOG KEHTE HE KI HAME QURAN KI AAYAT MAT BHEJO IS KO MITANA QAYAMAT KI ALAMAT HE US KA JAVAB JARUR PADHE OR LOGO TAK FWD KARE JIS SE HUM IN YAHUD OR NASARA KI CHAL SE BACHe

No comments:

Post a Comment