Monday 29 July 2019

imam ki qirat kafi hadees ki haqiqat


Assalamu alaykum wa rehmatullahi wa barkatuhu.

Bismillahirrahmanirraheem.

Muqtadi ke liye imaam ki Qira'at

بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم

Tehreer : Shaikhul Hadees Allama Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah

*Riwayath :
مَنْ كَانَ لَهُ إِمَامٌ فَقِرَاءَةُ الْإِمَامِ لَهُ قِرَاءَةٌ
" Jo imaam ki iqtida me ho , tho imaam ki Qira'at muqtadi ke liye kaafi hai " ki Boht saari Sanadein hai , Sab Zaeef hai :

Sayyiduna Abu Saeed Khudri raziallahu anhu
( Al Kaamil fee Zuafaa li ibn Adee : 1/524 - Al Mojam al Awsat li Tabrani : 7579 )

Sanad Sakht Zaeef hai
Haafiz Baihaqi rahimahullah ne isey " Zaeef " Qaraar diya hai .
(Al khilaafiyaath lil Baihaqi : 2/462)

imaam Haakim rahimahullah farmatey hain :
" iss riwayat ki Sanad aur Matan mahalle nazar hai ".
(Al khilaafiyaath lil Baihaqi : 2/462)

A. Amaarah bin Joeen Abu Haroon
" Matrook wa Kazzab hai ".
B. imaam Abu Nazrah rahimahullah bayan kartey hain :
حَدَّثَنَا أَبُو نَضْرَةَ، قَالَ: سَأَلْتُ أَبَا سَعِيدٍ، عَنِ " الْقِرَاءَةِ، خَلْفَ الْإِمَامِ فَقَالَ: فَاتِحَةَ الْكِتَابِ
" maine Syedna Abu Saeed Khudri raziallahu anhu se poocha ke kya muqtadi imaam ke peeche Qirat karega ? farmaya : Surah fatiha pardega ".
( Al Qirat Khalful imaam lil bukhari :27 , Al Qirat lil Baihaqi : 224 , wa sanadahu Hasan ).