Tuesday 21 November 2017

milad kiya he


Assalamu alaikum warehmatullahi wabarakatuhu
Bismillah hirrehman nirraheem sab tareef allah ke liye he
is post ka maqsad islah ka he or me manta hun ki koi brelwi is post ko khule dil se padh le hat dharmi or duriyo ko mitade to woh barlwi nahi rahega
bhala kab tak yeh majburi rahegi
hamare darmiyan yun duri rahegi
ham sadu sunnat ke jam pesh karte rahe
or janab ko sharabe bidat ki maghuri rahegi
yeh barlwi hazrat jashn manate ham kehte he ki yeh to wahi bachpan ka khel he jisme mitti ke gharonde banate or bad me jab thak jate the to wahi sari mehnat zehen me na rehti unhi gharondo ko apne paw se tod diya karte the
dunya me agar yeh karishma dekhna ho to bachcho ka khel sheher ki pakki sadko par ahbab ke tareeko ko dekh lo or jashne eid milad ko dekh lo pura sal jin gharo ko tameer karte he ise banane me puri mehnat lagate he sal ke bad yeh din yeh mahina yeh ayyam ase ate he apne hi hatho se un sab tameerat ko apne hi hatho se malyamet kar rahe hote he or mismaar bhi kar rahe hote he

Yeh log weh bidat rabiyuawwal ka mahina he yeh barelwi hazraat bade dawe se aqeeda pesh kar rahe hote he ki muhammad saw ki takhleeq adam alehissalam se pehle kar di thi is baat par bahut zor dekar bayan ki jati he is dawe ko pesh karke kitni dalile di jati he agar adam alehissalam ki takhlik se pehle adam miti or gare me the to allah ne muhammad saw ko unse pehle bana dala tha to sawal yeh he ki 12 rabiyuawwal san ki tahdeed karke muhammad saw ki wiladat ka din kiyon manate ho jab tum khud kehte ho ki nabi saw ki pedayish adam alehissalam se pehle he to fir yeh isa alaihissalam ke bad wale din me nabi saw ki pedayish ka din kiyon manate ho dono me tazad nahi he to fir kiya he jab adam alaihissalamSe bade mante ho to fir nabi saw ki umr 63 baras nahi balke adam alaihissalam se bade mana jana chahiye agar barelwiyo ka adam alaihissalam wala aqeeda durust he to fir yeh 12 rabiyuawwal ka jashan manakar isko apne hi hatho se girata kiyon he agar yeh tazad nahi he to or kiya he hamare kuch aqeede se he jo karne nahi padte balki dikhane padte heDusri baat kaha jata he ki nabi saw noor he to sawal yeh he ki agar noor hr to konsa noor ' noor do tarha ka hota he ik khalik ka noor ik
makhlook ka noor ye muhammad saw noori makhluk he to jawab dete he ki noori makhluk he sawal agar noori makhluk he to tera aqeeda eid milad to barbad ho gaya mit gaya agar eid milad unnabi wala aqeeda sahi to fir noori makhluk manne wala aqeeda barbad ho gaya ya to noori makhluk manna galat ya eid milad wala galat inme ae ik sahi hoga dono sahi nahi ho sakte dekho in barelwiyo ka kiya kiya barbad hoga ik sajra nasab in barelwiyo ko seerat ki kitabo se nikalna padega jab yeh barelwi nabi saw ka sajra nasab bayan kar rahe ho to apne noor wale aqeede ko barbad kar rahe hote heDusra nabi saw ke abawaajdad ka inkar kar de khandane nbwi ke unwan mita de abu muttalib ke unwan ko bhi nikal do zawja saw ko bhi kitabo se nikal do ummahatul momineen inko bhi kitabo se nikal do olade rasool saw ka tazkara bhi nikal do ehle bet ka aqeeda zehen se nikal do muharramul haram hahwal or aamal bhi khatm karo or rabiyuawwal ke hahwaal bayan karna chor do or waqiya qarbala nahi rahega shahadate husen nahi rahega har saal lagayi jane wali sabeele nahi rahegi or in sare kamo par bayan ki jane wali daleele bekar agar neeri makhluk hone ka aqeeda sahi he agar yeh sab sahi he to fir noori wala aqeda galat he Tisri chiz dekhte he ki azaan ke andar kuch bhai is baat ko bhul jate he or kehte he assalatu assalamualaika ya noorummin norullah allah huakbar hamne kaha janab yeh kiya he to jawab dete he ki allah ka tukda yani nauzubillah nabi saw khud allah he chalo yeh mana sahi he to ham puchte he ki agar rab ke noor me se noor to fir noori makhluk wala aqeeda to ho gaya barbad kiyonki makhluk or he or khalik or he tazaad yahan he or dusri baaat agar aapko noorumminurillah maan liya jaye aqeeda risalat ho gaya barbad aqeeda nabuwat bhi gaya or aqeeda besat bhi gaya or aqeeda khatme nabuwat bhi gaya agar aapko maan liya jaye ki aap noorumminnoorullah he fir sahibe muqame mehmud bhi gaya fatihe jannatul firdous bhi gaya saiye hoze kosar bhi gaya na shafiye mehshar rahe or sardare olade adam bhi nahi rahe in aqeedo ki haqiqat kiya reh jati he fir quran me jo aapko jo aawaze di jati he ya ayyuharrasul ka kiya mani he ya ayyuhan nabi ka kiya mani he ya ayyuhal mudassir ya ayyuhal muzammil ki kiya haqeeqat he agar aap rab ka noor he agar yeh aqeeda sahi he to fir yeh gumbade khizra kiyon he fir yeh rozae rasool kiya he nabi saw ki qabar kiyon he kiya rab ka noor qabr me dafan hone ke liye he yeh aqeeda barelwiyo ne khud giraya he inhone hamne nahi giraya he jab yeh barelwi jashn eid milad mana rahe hote he to pata nahi kitne aqeedo ko dhadam se gira rahe hote he Or jab rasool allah
noorumminnurillah he to sif or airf betullah par ittifa kiyon nahi kiyon betullah ghar nhi he allah ka yeh izafa allah ki taraf or roze ki nisbat rasool allah saw ki taraf kiyon fir isko rab ka roza bhi kahiye na Yeh barelwi log zor lagakar kehte he ki nabi saw alimulgeb he hame ispar behes karne ki zarurat nahi he yeh aqeeda tumhe mubarak ham puchte he ki bhai aap wahi ke jo baab bayan karte he silsila wahi ka bayan karte he wahi ke aqsaam bayan karte he wahi ke ayyam bayan karte he wahi ki taseer bayan karte he 23 sale dora nabuwat me utra quran bayan karte he or ham kahege ki agar alimul geb he to wahi kis liye or agar wahi he to geb nahi or age kehte he ki aap saw haziro nazir he or yeh barelwi log jashan eid milad ke aqeede ko khak me milate he iski wajha se in barelwiyo ne apne bisyo aqede girwa diye he tabha karwa liye he jab koi aqalmand insan isko dekhega to yeh khula tazad kiyon he in aqeedo ko le to kon le chune to kon chune chalo hamne mana aap haziro nazir he to alimul geb hona kiya he kiya yeh dono mutazad aqeede nahi he kiya nabi saw har jagha par he unse gayab kuch nahi he fir alimul geb bhi he yeh dono mutazad nahi he or fir haziro nazir he to fir sayyad amana ke pet me qayam kis tarha karwaya tumne or jab ma ke pet me the to baap ki pusht me nahi the or jab maa ke pet me the to us waqt bahar to nahi the agar hazir nazir ka aqeeda sahi he to milad ka jawaz khatm agar he to dayi sadiya ke jo qaiyat he qoh khatm makka se lekar jana khatm in waiyat ki sadaqat khatm agar sahi he to fir shebe abi talib jana khatm agar yeh sahi he to nabi saw ka gare hira me bhejna khatm jable noor ka tazkira khatm agar sahi he to zammaluni zammaluni wala waiya khatm agar hazir nazir hona sahi he to take kaba tarke makka tarkw ghar taeke ahlo ayal gare soor me jana teen rato Karen qayam hijrate madeena sare waqiyat be mana nahi hon jate agar hazir nazir he to take hujra dakhule masjid tarke masjid dakhule hujra aapke intezar me bethe huwe shaba ungte huwe sa haba ki nabi saw kab ayege or karwaye jamat Adayige namaz masjid me adayige nawafil ghar me in ahadees ko in jumlo ko chor de in dono me se ik galat to zarur he ya to hazir nazir ya fir ahadees dunya ankh bhi rakhti he dunya kan bhi rakhti he or dunya dimag bhi rakhti he or dunya dil bhi rakhti he or yeh rabiyuawwal ka mahina ise yeh barelwi nabiyu noor ka mahina nam dete he agar yeh sahi he to gazwa ke safar khatm agar yeh aqeeda durust he to safre badar khatm khuruje ohad khatm jange khandak khatm suleh hudebiya khatm gazwae khebar khatm agar yeh sahi he to safre makka khatm madeena se zulhulefa Ke tazkire khatm zuhulefa se makka rawngi khatm makka se meena jana khatm meena se arafat pahunchna khatm arafat se wapis meena or usse pehle muzdalfa ana khatm
muzdalfa se meena ana khatm jab hazir nazir he to jamrae ula ya jamrae wusta ya jamrae uqba ye bade bade qubra inke tazkire khatm hazraat agar hazi nazir he to makka se betul muqaddas or wahan se isra or meraj par jana khatm or aap saw upar the to wahan allah bilaya kiyon tha agar aap neeche the to wapis kis tarha or agar aap har jagha the to har asman par dastak ke waqiye waqiyaat na sunaya karo in barelwiyo ke hazir nazir hone ke parkhache inki apni zuban ud rahe hote he hazraat ab sochne ki baat he ehlehadith se sachcha mazhab kiya ho sakta he Or yeh barelwi nabi saw ko mushkil kusha mante he to yeh barelwi duwa mangte wat nabi saw ka waseela kiyon dete he yeh waseela or wasta kis liye tawassul kis liye wazahe nabi wazahe rasool wazahe pegambar kis lis liye agar aap saw mushkil kusha he to aapke makke dor ke masayil aapki pareshaniya aapke upar mashakkat we musibate aalke upar dali gayi ojhdhi unko apni majlis me zikr karna chor do agar yeh sahi he to hihrate habsha khatm agar aap saw mushkil kusha he to shebe abi talib me bandishe khatm safre tayif ki lahuluhan dastn ke unwan khatm walida majida jadde amjad chcha abu talib ehliya sayyade khatija kibwafat bete ki wafat or un amil husan ke tazkire khatm agar aap mushkil kusha he to badar ki chodah shahadate khatm ohad ki 70 lashe khatm shayadus suhada ka muamla khatm kar do bete or betiyo ki wafat ke tazkire chor do barema ke 70 qura ka silsila bayan na karo or kanute nazila ko chor do in waqiyat ko hatakar rakh do agar mushkil kusha ke aqayid in haqayik ke mutasadim nahi he to agar mushkil kusha sahi he to fir yeh haqayik galt or agar yeh haqayiq sahi he to fir mushkil kusha ke aqayid galat dono me se ik ko chorna padega or ik ko lena padega Ik taraf pegambar mukhtare kul or dusri taraf shafe mehshar kiya in dono me se koi ik sahi ho sakta he dono nahi ik ko galat hona padega kiyonki jo muktare kul ho use shifarish ki zarurat nahi hoti agar mukhtaee kul he to fir shifaat ki zarurat kiyon shifarish ka tazkira kiyon khud hi mukhtar aam mukhtare kul he khud hi maaf kara de iska mana kiya he agar aap saw ko shafe mehshar mante he to woh aqeeda mukhtarekul galat he dono me se koi ik galat he agar eid milad sahi he haq he to mukhtare kul ka aqeeda barbad ho gaya mukhtare kul ko wiladat ke marhalo me medud nahi hona padta agar aap saw mushkil khusha the nabi saw ko janm ki takleefo se kiyon guzarna pada agar mukhtare kul sahi to fir yeh baqi pirchar kiyon ik taraf nabi saw wiladat we ba shahadat ka pirchar dusri taraf bashariyat ka inkar or jab yeh barelwi log eid milad ka jashan mana rahe hote he nabi saw ko bashar man rahe hote he nabi saw keh gaye he ki me adam ki olad hun sardar hun adam ki olad bashar ik taraf is hadith ka ikrar dusri taraf nabi ki bashariyat ka inkar ik taraf aap saw adam alaihissalam ki olad dusri taraf bashariyat ka inkar ik taraf aap ki umar ki tahded 63

 moot hi nahi ayi to fir yeh umr 63 baras kiyon admi jab marta he to uski umr lagti he or aaj nabi ki umar pedayish se 1490 ke qareeb hoti or agar adam alaihissalam se pehle ka silsila he to hame umr pata nahi yeh barelwi hazraat hi bata de jab yeh barelwi hazraat eid milad ka poster lagate he to usme nabi saw ki qabr ki tasweer se yeh pata chalta ye ki nabi mukhtare kul nahi sochne wali baat he jab kisi ke ghar me beta peda hota he to koi uske ghar me kafan gift kare to weh kahega ki mere ghar beta aya he tu kafan bhej raha he asa hi yeh he 12 rabi ko nabi saw peda huwe or yeh barelwi hazraat poster par qabr ki tasweer bana rahe hote he sochne wali baat he ik taraf ittibaye rasool ka dawa dusri taraf itaat or ittiba ko chor kar kisi ummati imam ki taqleed ki rah kiyon kiya iske rasool or hamara tarze amal mutisadim chiz to nahi ik taraf gulamiye rasool me mot bhi qabool he dusri taraf abao ajdad ki rasmo par mar mitne ka rujhan kiyon he gulamiye rasool me moot ka dawa yeh he or mar kis par rahe he abaoajdad ki rasool par ik taraf sab tumhara karam he nabi saw ka silogan ik taraf gose azam bagdad wale bhai agar sara karam unhi ka he to fir kisi or ki zarurat kiya ik taraf bhar do jholi ya muhammad or duari taraf data ali hajweri ik taraf masjid me qayam bhi ruqu bhi sjud bhi tashahud bhi sana bhi alhamd bhi fatiya bhi kulhuwallah bhi or dusri taraf kabhi tere dar pe kabhi mere dar oe kabhi unke dar pe kabhi dar badar jhuke mera sar Har shamo sheher o bhai barelwiyo kiya yeh khula tazad nahi he to fir kiya he me yeh kehta hun in barelwiyon se yeh sab kara karaya in barelwiyon par to nahi gir raha he me in barelwiyon ko dawat deta hun ki bhaiyon quran or sunnat ki taraf aao is tazad wale dharm ko chor do Allah kehne or sunne se ziyada amal karne ki tofeeq de aameen