Monday, 21 August 2017

ALLAH KAHAAN HAI ? SAHAABA [ Radi Allah Tala ‘Anhu ] KE AQWAAL



Qais [ Radi Allah Tala ‘Anhu ] kahte hain : “Jab ameerul Momineen Umar [ Radi Allah Tala ‘Anhu ] sham gaye to woh apni wountni par sawaar the, logon ne unse kaha agar aap ghode par sawaar hote to achchha tha kyun ke aap se milne ke liye bade bade log aaye hain to bad Rasoolullah ﷺ  ke doosre bila fasl khaleefah Ameerul Momineen Umar Farooque
[ Radi Allah Tala ‘Anhu ] ne farmaya : “Kiya main tum logon ko yahaan se dikhaayi nahin de raha, bila shak faisle to wahaan se hote hain aur yeh kahte huye apni ungli se aasmaan ki taraf isharah kiya”

{ Musannaf ibne Abi shayba : 34443,33844, Imam Albani ne kaha ke iski sanad Bukhari aur Muslim ki sharaayet ke mutaabiq sahih hai }

No comments:

Post a Comment