Monday 29 July 2019

imam ki qirat kafi hadees ki haqiqat


Assalamu alaykum wa rehmatullahi wa barkatuhu.

Bismillahirrahmanirraheem.

Muqtadi ke liye imaam ki Qira'at

بــسـم الله الــرّحــمــن الــرّحــيــم

Tehreer : Shaikhul Hadees Allama Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah

*Riwayath :
مَنْ كَانَ لَهُ إِمَامٌ فَقِرَاءَةُ الْإِمَامِ لَهُ قِرَاءَةٌ
" Jo imaam ki iqtida me ho , tho imaam ki Qira'at muqtadi ke liye kaafi hai " ki Boht saari Sanadein hai , Sab Zaeef hai :

Sayyiduna Abu Saeed Khudri raziallahu anhu
( Al Kaamil fee Zuafaa li ibn Adee : 1/524 - Al Mojam al Awsat li Tabrani : 7579 )

Sanad Sakht Zaeef hai
Haafiz Baihaqi rahimahullah ne isey " Zaeef " Qaraar diya hai .
(Al khilaafiyaath lil Baihaqi : 2/462)

imaam Haakim rahimahullah farmatey hain :
" iss riwayat ki Sanad aur Matan mahalle nazar hai ".
(Al khilaafiyaath lil Baihaqi : 2/462)

A. Amaarah bin Joeen Abu Haroon
" Matrook wa Kazzab hai ".
B. imaam Abu Nazrah rahimahullah bayan kartey hain :
حَدَّثَنَا أَبُو نَضْرَةَ، قَالَ: سَأَلْتُ أَبَا سَعِيدٍ، عَنِ " الْقِرَاءَةِ، خَلْفَ الْإِمَامِ فَقَالَ: فَاتِحَةَ الْكِتَابِ
" maine Syedna Abu Saeed Khudri raziallahu anhu se poocha ke kya muqtadi imaam ke peeche Qirat karega ? farmaya : Surah fatiha pardega ".
( Al Qirat Khalful imaam lil bukhari :27 , Al Qirat lil Baihaqi : 224 , wa sanadahu Hasan ).

Friday 25 January 2019

muslim name kiyon nahi


Beshak... Allah ne hamara naam muslim rakha..Aur ham muslman hai...Aur hame naaz hai iss naam pr... Alhamdulillah
Pr sawal uthta hai konse muslman..?
Wo jo apna sina thokte hai..
Wo jo kabro pr apna sar jhukate hai..
Wo jo taqleed ko wazib hone ka  certificate  baant rahe hai..
Ya wo jo ye kahte hai ki aap sallalaho alaihi wasallam ke baad ek nabi aur hai... nauzubillah
..aap sallalaho alaihi wasallam ke waqt tak koi firqa nahi tha...sab Allah ki kitab aur aap sallalaho alaihi wasallam ki sunato pr amalpaira the..
Lekin jab baad me ahle bidaat ne dastak di to inse apne aap ko alag rakhne aur haq wala hone ki pahchaan ke liye ek naam aaya Ahle sunnat wal jamaat..
Aur iss beech bhi Kai batil firqo ne janm liya ...lekin mante the muslman...
Kahne ka maqsad sirf itna hi hai.. apne aap ko kisi sifati naam se mansoob karna koi galat nahi hai..apni pahchaan ke liye...