Kya 100% Imam Abu Hanifa r.a ke pairokar hai ❓
Ya dono firke sirf “33.33% Hanafi” hai...❓❓❓
🍃BismillahirRahmanNirRaheem
📘Jawab :
Ye post islah ki Niyat se banaya gaya hai. Taake logo ko haq baat malom ho aur wo gumrahi se bache.
📎 Hanafi bhaiyo Aap apne aalimo se ye baatein check karsakte hai.
Agar deene muamley may Quran aur Sahi hadees ke mutabik kisi ki galtiya bayaan karna gunah hai tu phir Bhukhari aur Muslim sabse bade mujrim hai.
🔸Agar Jhoot ko bechna ho to us par Haqq ki thodi si “polish” laga kar becha jaaye to Jhoot ko asani se becha ja sakta hai.
Pehle Yahudi aisa kiya karte the, ye dhoka is Ummat ke kuchh log kar rahe hai. Jhoot par Sachh ki “polish” laga kar bech rahe hai.
🔸Hamare Hindustan, Pakistan aur Bangladesh me Hanafi-Hanafi ka naara laganewale Deobandi aur Barelwi bhai, kya hakikat me yeh log 100% Hanafi hai?
Kya 100% Imam Abu Hanifa ke pairokar hai ?
Yeh dono firke sirf “33.33% Hanafi” hai aur baaki ke 66.33% Ashaari aur Maturidi + Sufi hai.
🔸Imam Abu Hanifa (Rahamaullah) jo “Ahle Sunnat Wal Jamaat” me se hai unke is Ahle Sunnat hone ka faida uthakar Deobandi aur Bareli apne aap ko “Ahle Sunnat” bolte hai lekin andar se “Aashariyat‚ Maturidiyat” aur “Sufiyat” ke batil Aqaeed logo ko bech rahe hai. Ye saari andruni batein bechari awwam (public) ko nahi pata.
🔸Inke Aalimo ne Musalmano ko sirf masle masail me fasa rakha hai jaisa ke...
-❓Namaz me hath kaha badhna
-❓Raful-yadain karna ya na karna
-❓Ameen zor se bolna ya nahi bolna
-❓Tarawih 20 rakaat ya 8 rakaat
-❓Juma ke din 1 azaan ya 2 azaan
-❓3 Talaq ya 1 talaq
in masle-masail me hi uljha rakha hai.
🔻Lekin kabhi “Aqeede aur Manhaj” par baat nahi ki jaati hai. Baat sirf aur sirf masle masail par hi ki jaati hai aur Musalmano ko isi me fasakar rakha gaya. Aur Musalmano ke Barbadi ki yahi sabab (wajah) hai.
🔻Jo Aqaeed kisi Musalman ko KAFIR aur Mushrik bana dete hai aise Aqaeed inke kitabo me maujud hai, is par kabhi baat nahi ki jaati hai.
✔💯“Aqeedah” sab se zyada ahem hota hai. Akhlaq, Namaz, Roza, Zakat etc yah saare baad ke amaal hai. Pehle ham hamara Iman aur Aqeeda Nabi aur Sahaba jaisa durust karle. Saare ibaadaat ki kubuliyat sirf Aqeede ke durustagi par rahti hai.
Inhi ke plan ke mutabik, agar Islam ko 3 hisso me taksim (divide) kiya jaye to Deobandi Hanafi aur Barelwi Hanafi sirf 33.33% "Ahle Sunnat Wal Jamaat" hai jaise ke …
1.🔸Aqeedah aur Manhaj (33.33%)
2.🔸Tasawwuf (Tazkiya Nafs) (33.33 %)
Tazkiya Nafs me saari Ibaadatein Shamil ho jaati hai.
3.🔸Fiqh (33.33 %)
Ab ham ek ek karke dekhte hai….
🔴1⃣🔴Aqeedah aur Manhaj (33.33%):
🔻Deobandi Hanafi,
Aqeede aur Manhaj (33.33%) me "Imam Abu Mansoor Maturidi" aur "Imam Abu Hasan Aashari" ke muqallid hai.
Yaani "Aqeede aur Manhaj" me ye log "Maturidi" aur "Aashari" hai.
Suraj ki tarah wazeh hai ke yah 2 firke "Maturidi" aur "Aashari" Gumrah hai aur Ahle Sunnat Wal Jamaat me se nahi hai.
Ahle ilm kahte hai apne zindagi ke aakhri waqt me "Imam Abu Hasan Aashari" ne tawbaah ki thi aur Ahle Sunnat ke manhaj ko apnaya tha lekin inke Tawbah se pahle ke Aqeedah ko Deobandi aur barelwi ne apnaya hai.
Maslan,
-Allah har jagah apni zaat se maujud hai,
- Nabi ke sadqe mey saari Qaynaat ko Allah ne paida kiya.
-Iman me Amal dakhil nahi hai.
Yaani,
Ye log kahte hai ke “Amal” zaruri hai lekin “Imaan” ka hissa nahi hai.
(ye “Murjiya” ka Aqeedah hai jisko Deobandi aur Barelwi ne apnaya hai jo Aashariyat aur Maturidiyat se inke paas aya hai)
Lekin Ahle Sunnat wal Jamaat ka Aqeedah ye hai ke ”Amal, Imaan ka lazimi hissa hai”.
-Allah ke Asma wa Sifaat me taawil,
(ye “Mutazila” ka Aqeedah hai jisko Deobandi aur Barelwi ne apnaya hai jo Aashariyat aur Maturidiyat se inke paas aya hai)
🔴2⃣🔴Tassawuf (Tazkiya Nafs) (33.33%) :
Deobandi Hanafi….
Tazkiya Nafs yaani Taswwuf me “Sufiyat” ke 4 silsile ke tariqe kar (Methodology) ko apnate hai jaise,
-Qadari
-Chisti
-Suharwardi
-Nakshnabandi
“Sufi” wo log hai jinone ibaadat me tazkiya nafs ke naam par naye naye biddat paida kiya.
“Sufiyat” ke ye charo firke bhi “Ahle Sunnat Wal Jamaat” mey se nahi hai.
🔴3⃣🔴Fiqh (33.33%):
Deobandi Hanafi,
Fiqh me Imam Abu Hanifa (Rahemaullah) ke muqallid hai.
Yaani, ye log sirf (33.33%) hi Imam Abu Hanifa (Rh) ke muqallid hai.
💠💠Aakhri baat:
🔻Yahi haal bilkul same Barelwi-Hanafiyo ka bhi hai. Barelwi aur Deobandi Hanafi, Fiqh me 1 hi Imam ke pairokar hai lekin fir bhi 1 dusare ko KAFIR kahte hai kyunke Barelwi Hanafi Aqaeed me Imam Ahmed Raza ke muqallid hai.
🔻Mere pyare Musalman bhaiyo, Deobandi aur Barelwi ke fitno se bachho aur Quran wa Sunnat aur manhaj e sahaba ki taraf aao. Allah ne yaha Hidayat rakhi hai aur Jannat ka wada bhi kiya hai.
Deobandi aur Barelwi Hanafi sirf 33.33 % "Ahle Sunnat" me se aur baaki 66.66 % "Gair- Ahle Sunnat" se hai. Baaki 66.66% me ye log Aashari, Maturidi, Murjiya, Mutezila hai.
❓Sawal ye hai ke inone Imam Abu Hanifa (Rh) se apna Aqeeda, Manhaj, aur tazkiya nafs kyun nahi liya. Sirf Fiqh hi kyun apnaya ?
Fiqh se zyada Important Aqeedah aur Manhaj hota hai. Halanke Allah chahe to Fiqhi Masail me maaf kar sakta hai lekin Aqeede aur Manhaj to Nabi aur Sahba jaisa hona FARZ hai.
Allah tamam aalam ke musalmano ko sirate mustaqim pe chalne ki aur haq baat ko apnaney ki hidayat de.
Ameen ya rabbal aalamin.
Jo batein haq hai wo Allah ke taraf se hai aur jo baatein buri hai wo mere aur shaitain ki taraf se hai.
Wallahu Alaam sawab
No comments:
Post a Comment