Tuesday 25 July 2017

"TAAZIMI SAJDA" Jaayez hai ya nahi



🍃BismillahirRahmanNirRaheem🍃

💠Dars :  85💠

(30/03/2016, Wed)

📘Jawab :

👨‍👨‍👦‍👦 Log yeh samjte hai ke SAJDE 2 tarah ke hote hai:

1⃣ "Ibaadati Sajda" jo ham har Salat (Namaz) me Allah ke liye karte hai.

2⃣ "Taazimi Sajda" jo ham Maa-baap ya kisi MAZAAR (Qabr) ke liye kiya jata hai

🔰Yeh dono bhi tarah ke Sajde “Gairullah” ke liye HARAM hai. Sirf Allah ki hi zaat hai jis liye saare karna zeba deta hai.

🔰“Ibaadati Sajde” ke bareme ham ilm rakhte hai jo sirf Allah ke liye har Salat(Namaz) me ya kisi khushi ke mauke kiya jata hai.

👨‍👨‍👦‍👦Log samjte hai TAAZIMI Sajda kisi Qabr ya Insan ke liye karna HALAL hai kyun ki hamari niyaat unki Ibaadat karna nahi hota. Lekin kya TAAZIMI (IZZAT wala) Sajda Allah ke alawa kisi ke liye kiya jaa sakta hai.

💠TAAZIMI SAJDA karne walo ki DALEEL :

Quran me Allah ne Yousuf (Alaihiassalam) ek kissa aisa bayan kiya hai :

“Aur sab uske samne sajde me gir gaye. Tab kaha ke Ye Abba !, yah mere pahle ke khawb ki tabir hai”.

📕(Surah 12 Yousuf : Ayat 100)

🔻Yousuf (Alaihiassalam) ke is waqiye se log daleel lete hai. Yusouf (Alaihiassalam) ko unke maa-baap, saare bhaiyo ne TAAZIMI Sajda kiya tha.

🔻Quran ke is ayat se log TAAZIMI Sajde ko halal samjte hai. Unki Daleel to sahih hai lekin unone is ayat se galat matlab liya hai. Wo kaise?

🔻Har Nabi aur Rasool ka Deen 1 hi tha jisko ham ISLAM kahte hai. Saare Nabiyo ne aone Ummat ko 1 Allah ki Ibaadat ki taraf bulaya. Lekin har Nabi ki SHARIYAT alag alag huwa karti thi. Jaisa ke Musa (Alaihiassalam) aur Isaa (Alaihiassalam) ke shariyat me aur Muhammad s ke shariyat me bahot zyada fark hai. Shariyat yaani Qanoon. Allah ne zamane ke etebaar se har Nabi ke shariyat me lachak (flexibility) rakhi thi aur bahot saare chize 1 Nabi ke Ummat ke liye HALAAL howa karti lekin wahi chize dusare Nabi ke Ummat ke liye HARAM huwa karti thi.

🔻Is ayat se malum hota ke Yousuf (Alaihiassalam) ke SHARIYAT me TAAZIMI Sajda HALAL (Jayez) tha lekin hamare is “Shariyat-e-MUhammadiya” me is TAAZIMI SAJDE ko bhi HARAM ko Allah ne Haram kar diya. Ab sirf aur sirf ek hi Sajda bacha, wo hai IBAADATI SAJDA jo sirf aur sirf Allah ke liye karna HALAL hai. Agar koi la-ilmi me agar Allah ke alawa kisiko TAAZIMI SAJDA karta hai jaise Maa-Baap ko ya kisi Murshid ya Peer ya Dargah par to isko IBAADATI SAJDA samaja jayega aur Allah ke alawa kisi ki bhi IBAADAT karna SHIRK ho jayega. Isliye “Gairullah” ke liye TAAZIMI SAJDA karna bhi SHIRK hai.

💠"TAAZIMI Sajda" HARAAM hone ki DALEEL :

🌴"Jab Maaz bin Jabal (RaziAllahu anhu) Sham se wapas huye to unone Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ko sajda kiya, Nabi s ne kaha, Maaz Yeh kya hai ? Unone kaha, Ye Allah ke Rasool, mai ne Sham me dekha ke log unke Ibaadat guzaro aur Sardaro ko sajda kar rahe the, aur aisa karne ki daleel unke Nabiyo se de rahe the. Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne kaha : wo log jhoot bol rahe hai. Ye Maaz, agar mai kisi ko sajda karne ki izazat deta , to mai hukm deta ke Biwi apne Shohar ko sajda kare kyunke Shohar ka martaba biwiyo se bada hai. Ye Maaz, kya tu Sajda karne ko sonchenga ke agar tera guzar mere Qabr ke paas se huwa to ? Unone kaha : nahi”.

📕(Musnad-e-Ahmed, Imam Ahmed Hanbal ki Hadees ki Kitab )

(Agar 4 Imam haq par hai to fir is Imam ne jo Hadees-e-Rasool pesh ki hai, log is HADEES par amal kyun nahi karte kyunke Imam Ahmed Hanbal 4 Imamo me se 1 hai)

💯✅Is HADEE se malum hota hai ke ….

1⃣Taazimi Sajda Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ko unke hayaat me bhi aur unke wafat ke baad unke Qabr par bhi karne se khub Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ne saqt mana kiya to fir aaj ham apne maa-baap ya kisi Peer ya kisi Murshid ya kisi Baba ya kisi Dargah ke liye “TAAZIMI Sajda” karne ko kaise HALAL bana liya ? Nabi SallallahuA'laihiWaSallam se badi koi dusari SHAKHSIYAT hai paida hui is duniya me? Jiske liye ham TAAZIMI SAJDA kar sake?

2⃣Agar Taazimi Sajda karna “Shariyat-e-MUhammadiya” me jayez hota to Nabi SallallahuA'laihiWaSallam biwiyo ko hukm dete ke apne shohar ko taazimi sajda kare. Lekin ye bhi hukm Allah aur uske Rasool ne nahi diya. Allah ne is Ummat ke liye SHIRK ke saare darwaazo ko band kar diye taake hamara Imaan mahefuz rahe. Isme hamara hi fayda hai.

3⃣1 KHAAS baat yeh malum hoti hai ke kisike bhi MAZAAR (Qabr) par jakar “Taazimi Sajda” karna HARAM hai, HARAM hai, chaahe wo Qabr Nabi s ki kyun na ho.

4⃣Aur 1 baat malum hoti hai, Sahaba (R), aaj ke Mushrik-Musalmano ke jaisa Qarbo se mangna, faiz hasil karna, niyaz karna, waha apni peshani tekna aisa nahi kiya karte the.

5⃣Yeh baat maulm hoti hai ke Nabi, Rasool, Shohar, maa-baap, Peer, Murshid,Baba, Dargaah, Qabr, Mazaar in sabke liye "TAAZIMI SAJDA"  karna is Ummat ke liye Allah ne Haraam akr diya hai.

6⃣ Agar shirk ko chhodna hai to ham bhi “Manhaj-e-Sahaba” (yaani Sahaba ke raaste) par chalna padega.

💠"Mushrik" par "JANNAT HARAM" kar di gayi♨♨♨

1⃣“…………. yaqeen maano ke jo shaqs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta'ala ne us par JANNAT HARAAM kardi hai (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ ), us ka thikaana jahannam hee hai aur gunehgaaro ki madath karne waala koyi nahi hoga.

📕(Surah 05 Maydah : Ayat 72)

2⃣“Yaqinan Allah ta'ala apne saath shareek kiye jaane ko nahi baqshta aur us ke siwa jise chaahe baqsh deta hai, aur jo Allah ta'ala ke saath shareek muqarrar kare us ne bahut bada gunaah aur buhtaan baandha”.

📕(Surah 04 Nisa’a: Ayat 48)

3⃣Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:

“Jo shaks is haal mein mare k Allah ta’ala k saath kisi ko shareek thehraaya tha wo aag mein dakhil hoga”.

📕(Sahih Bukhari Kitabul Emaan)

4⃣Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai ke :

“Jisne Allah ta’ala se is haal mein mulaqaat ki k uske saath kisi ko shareek nahi thehraaya wo jannat mein dakhil hoga, jo Allah ta’ala se is haal mein mila k usne Allah ta’ala k saath shirk kiya ho wo jahnnam mein jayega”.

📕(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
-------------------------------------------------------------------------------
Ya Allah, saare Insaniyat ko SHIRK se tamaam KHATARNAKIYO se bachale khas karke hame aur hamare qiyamat tak aane wale nasl ko aur hamare liye Jannat me jaane le jaane wale rashte khol de.

No comments:

Post a Comment