Saturday, 15 July 2017

”HADEES” bhi ALLAH ka KALAAM hai…?



🍃BismillahirRahmanNirRaheem🍃

📘Jawab :

Ji haan, Jis tarah Allah ne “Quran” ko nazil kiya usi tarah “Hadees” bhi Rasoolullah par nazil ki gayi.

🔴🔴”HADEES” ko yaad karne wale ke liye Nabi ki duwa :

💯✔Zaid ibn Sabit (Rz) ne kaha ke Rasoolullah ne farmaya :

🍃Allah us shakhs ko tar-wa-taazaa (hara bhara) rakhe jo meri koi Hadees sune aur usko waisi yaad kare aur usko waisi hi logo tak pahuncha de”.

📘(Sahih Abu Dawood Kitabul Ilm)

↘”Munkire Hadees” yaani “Inkaare Hadees” ka fitna “Khawariz” aur “Mutzila” se shuru huwa jo Akkal parst firke the. Aaj bhi Highly Qualified Muslim “Hadees” ko Allah ka KALAAM nahi mante hai.

Aur kuchh “Taqleedi” mijaaz ke Musalman “Maslaq” ke buniyad par bhi “Sahih Hadees” ka inkar karte hai isliye ke unke “Maslaq” ke khilaf  hoti hai.

↘Hindustan me ”Munkire Hadees” ka fitna Punjab ke “Abdullah Chakralvi” ne failaya jo “Jamaat-e-Ahle Quran” ka baani hai aur dhire dhire logo ke dil me ghar kar liya. “Ahle Quran” bahot hi GUMRAAH firka hai is se bachke rahna lazim hai warna ham bhi “KAFIR” ho jayenge.

↘”Munkire Hadees” ka kahena yah ke Hadeese mahefuz nahi hai aur apas me bahot zyada takraati hai.Jaha bhi 2 Sahih Hadeeso me takraao paya jayega waha un dono Hadeeso ko milakar “ek natija” nikala jayega.

↘Unka dusara etraaz yah hai HADEES ham tak “LOGON ke zariye pahunchi” hai lekin “QURAN bhi to ham tak LOGON ke zariye pahuncha hai. Kya fir ham QURAN me bhi SHAK karenge…??? Kya aap Quran Nazil hote waqt waha maujud the…??

😈😈Yaad rahe jis tarah Puri QURAN ya KISI EK AYAAT ka bhi INKAAR karna KUFR hai usi tarah kisi ek HADEES karna INKAR karna bhi KUFR hai jo Hadees sahih SANAD ke sath  Nabi ki baat hai yah sabit ho jaaye. Isko mamuli baat na samjana.

💯✔Quran ne khud “kufr” ka fatwa diya hai. Jaisa ke Allah ne farmaya :

🍃(Yeh Rasool) Keh dijiye! ke Allah ta’ala aur Rasool ki ita’at (farmadari) karo agar ye muh pher le to beshak Allah ta’ala KAFIRO se muhabbat nahi karta.

📘(Surah 03 Ale Imran : Ayat 32)

↘Aaye dekhte hai ke, kya HADEES bhi ALLAH ne NAZIL ki hai ya nahi…?

🔦🔴🔴🔴QURAN se DALEEL :

“Ke Tumhara saathi (Muhammad) NA GUMRAAH huye aur na BAHKE. Aur wah (Muhammad) to APNI NAFSAANI KHWAHISH se kuchh NAHI KAHTE. Yah to WAHEE (paigaam) hai jo unpar bheji jaati hai.

📘(Surah Najm 53 : Ayat 2,3,4)

Is ayat se yeh baat malum hoti hai ke :

Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ISLAM ke talluk se jo bhi BAAT kiya karte the wo apne NAFS (Mann) se nahi balke sirf ALLAH ke WAHEE ke mutabik hi kiya karte the. Agar kisi masle ke talluk se WAHEE nahi aati to Nabi SallallahuA’laihiWaSallam khamush raha karte yaha tak ke WAHEE nazil ho jaaye.

🔦🔴🔴HADEES se Daleel:

💯✔Miqdaam bin Ma’dikaribSallallahuA’laihiWaSallam (Rz) farmate hai ke Rasoollulalh  ne IRSHAAD farmaya ke…

🍃Suno, muze “Quran” diya gaya aur usi ke sath sath “uska Misl” (yaani usi jaisi dusari chiz) bhi di gayi……”._

📘(Abu Dawood, Kitabul Sunaah, Chapter 42, Hadees No. 9)

🔹Is Hadees se yeh maloom hota hai ke…

Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam  khud kah rahe ki “Hadees” bhi Allah ne Quran ke sath nazil ki.

Kiski baat maani jaaye ? Apki ya Rasoolullah ki…???

🔹Allah ne, Rasoolullah ko Quran ke sath sath uska “Misl” yaani usi “jaisi” dusari chiz bhi NAZIL ki hai, us dusari chiz ka naam hai “HADEES”.

↘English me, “Misl” ka tarjuma hota hai “similar”.

🔴🔴Hum HADEES ko kam ALFAAZ me is tarah BAYAN kar sakte  hai:

_…..“ZUBAN to NABI ki hoti hai lekin  FARMAAN Allah ka”.

💯✔Yaad rahe, Sirf SAHIH aur HASAN HADEES hi ALLAH ki sacchi WAHEE hai jo Rasoolullah par nazil hui hai. “ZAEEF Hadees” me “shak” me shak baaki rahta hai aur yah baat “sabit” nahi ho paati ke “is Hadees” ko Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ne apne “zuban-e-mubarak” se farmaya ya unke naam par kisi aur ne ZHOOT kaha. Isliye ZAEEF HADEES kisi masle me DALEEL nahi ban sakti yaha tak ke us HADEES ki SANAD sahih nikal aaye.

Wallahu Alam Sawab

No comments:

Post a Comment