⚠AHMAD RAZA KHAN BARELWI FARMATEY HAIN:
🔹Muhammed(s.a.w.s) ki tareekh-e-paidaish 8 Rabbi-ul-awwal hai aur tareekh-e-wisãl 12 Rabbi-ul-awwal hai
📓[FATAWA RIZWIYA JILD 26 PAGE 412
⬇⬇⬇⬇⬇⬇⬇⬇⬇
https://archive.org/stream/FatawaRazawiyaJild26/Fatawa-Razawiya-Jild-26#page/n0/mode/1up
⭕Zara ghaur se padhiye aur jo aap padhrahey ho useyTasawwur bhi kariye ke wo kaisa Mahol tha❓👇
✅Ayesha r.z bayaan karti hai Muhammed (s.a.w) ke aakhri waqt ke kuch lamhon ko.
👉Muhammed (s.a.w) ne Farmaya:
“Khaibar Mein jo Zaher wala Luqma maine apne muh mein rakh liya tha, iski takleef aaj bhi mehsoos karta hun. Aisa Maloom hota hai meri shah-rag [veins] iss zehar ki takleef se kat jayegi.
📘[Sahih Bukhari, Kitab Ul Maghazi, Hadees No. 4428]
🔹Hazrat Ibn Abbas r.z Farmatey hai,
“Jumeraat ke Din [Yani Muhammad (S.A.W) ki Wafãth se 4 din Pehle, 8 Rabbi-ul-awwal ko Muhammed (s.a.w) ki bimãri mein tèzî paida ho gayi thi.(shiddat badh gayi thi)
📘[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4431]
🔹Ayesha(r.z) Farmaati hai ke Bimãri ki shiddat ki wajah se Muhammed (s.a.w) ki awãz bhaari padh gayi thi.
📘[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4435]
🔹Ayesha(r.z) Farmaati hai;
Muhammed (s.a.w) do Sahabi Ka Sahara Le Kar Chalne Lagey The, Apke Paaon Zameen Mein Ghisat Rahe The.
📘[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4444]
Ayesha(r.z) farmaati hai;
🔹Jab Muhammad(s.a.w) ka aakhri waqt tha, Apke Paas Paani ka ek pyala rakha gaya, Aap Paani Mein Haath Daalte Aur Chehre Par Pher Lete aur farmate;
“Aye ALLAH! Maut Ki Sakhtiyon Par Meri Madad Farma"
📙[Sunan Ibn Majah, Kitab Al Janaiz, Hadees No. 1623]
……….
👉Ab Dekhiye Madinah Ka Kya Mahaol tha is waqt;
🔹Hazrat Anas r.z farmate hai;
Jab Aap Muhammed(s.a.w) Madinah Tashreef laaye the tou har cheez raushan ho gayi thi aur jis din Aap ki Wafãth Huvi, Madine ki Har Cheez Andheri Ho gayi.
📙[Sunan Ibn Majah, Kitab Ul Janaiz, Hadees No. 1631]
🌃Madinah Gham Ke Andherey Mein Dooba tha aur aaj hamare yahan sab taraf roushan mahaul hai🎆
👉Ab Nabi ki Laadli Beti Fatma Az Zehra ka haal dekhiye❗
🔹Hazrat Anas r.z Farmate hai,
Jab Muhammad(s.a.w) ki beemari se bechaini badh gayi, to Fatima Az Zehra Kehti thi;
“Haaye Mere Abba Jaan Ko Kitni Bechaini Hai"
🔹Phir Jab Muhammad(s.a.w) ki wafãth ho gayi tab Fatima Az Zehra Kaha Karti thi;
“Haaye Abba Jaan, Aap Apne Rab Ke Bulaawe Pe Chaley Gaye.
🔹Phir Jab Nabi-e-Kareem saw ko dafan kar diya gaya tab Fatima Az Zehra Farmaati;
“Aye Anas, Tumhare Dil Muhammad(s.a.w) Par Mitti Daalne Ke Liye Kis Tarha Maan Gaye The”
📕[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4462]
………………………… ……. X X X ………………..
👉🏾Ab Zarã tasawwur kariye, is waqt Nabi saw ke ghar wãlon aur Sahãba par kaisa gham ka pahaad toot pada tha, Madina ka kya mahaul tha aur isi pal isi waqt yahan tak ke usi din ko Eid-e-Milad-un-Nabi bhi manaya jaa raha hai⁉
Astaghfirullah ye Yahan kaisa Eid jaisa mahol hai❓
Share others.....
No comments:
Post a Comment