Tuesday, 25 July 2017

HANAFIYON KA DER SE NAMAZ PADHNA NABI SAW KI HADEES KI ROSHNI ME

❗❗Aimma e Masaajid Ko NamazAwwal Waqt Padhani Chahiye❗❗

✏Abu Zar  riwayat karte hai ke Rasool Allah  ne farmaya: ‘Tera kya haal hoga, jis waqt tujh par aise Imaam (hakim) ho’nge jo namaz mein der karei’nge ya is ke waqt se qaza karei’nge? Main ne kaha ke aap mujhe is haal mein kya hukam farmate hain? Aap  ne farmaya: ‘Namaz ko is ke waqt par padh phir agar to is namaz (ki jama’at) ko in ke saath padhe to (inke saath) dobara namaz padh le tehqheeq ye namaz ter liey nafal hogi.’

📚(Muslim: al Masaaji 648)


✏Obaada bin Saamit  riwayat karte hain ke Rasool Allah  ne farmaya: ‘Tehqheeq tum par mere ba’ad aise imam ho’nge jin ko ba’az cheezei’n waqt par namaz padhne se baaz rakhei’ngi. Yaha’n tak ke is ka waqt jaata rahega. Pas namaz waqt par padho (agar che tanha padhni padhe) Ek Shaqs bola, aey Allah ke Rasool ! main in ke saath bhi namaz padho’n? Aap ne farmaya: Haa! agar tum chaho.’

📚(Abu Dawood: as Salah 433)

No comments:

Post a Comment